Kabhi apke man main baal lambe rakhne ka khayal aya hai? Ek bar ke liye to aya he hoga, aur sath main dar v laya he hoga, sahi kaha na?
Waise hum darte kyun hain aiye jaante hain..
--:- Family ka darr
Hamare hindustan main ek ladka kisi se dare ya na dare apne family se to darta he hai, kamse kam tab tak jab tak wo khudke pairon main khada nahi ho jaata, baal lambe karne ka khayal to dur ki baat he, baal agar normal lambai se adhe inch v lamba ho jaye to gharwale apko saans lena v mushkil kardenge, jab tak ap baal kat nahi lete.
--:- hamara family aisa karta kyun hai?
Kyun ki wo khud darte hain ke samaj unke bare main kya kahega, samaj ke hisab se lambe baal sirf ladkian rakh sakti hain ladke nahin, agar apne baal badhaya to ap samaj ke vichardhara ke lakir ko langh rahe hain aise main samaj ungli apke parvarish pe uthayega jo apke family ne ki he.
--:- doston ka darr
Matlab majak udaye jaane ka darr, “ Ladki ban ne ka sauk he? ” sabse jyada yehi sunne ko milta hai, saath main “chakka lag raha hai”, “chor jaisa baal kyun badhaya hai”, “baba banna hai kya?” ye sab bich bich main milta he rehta hai, waise dekha jaye to galti apke doston ki nahi bachpan se unko samaj ne apne vichardhara ke janjiro se bandh rakha hai.
--:- society itna judge kyun karta hai?
Kyun society ladkon ko lambe baal rakhne per judge karti hai? |
Kyun ki unme aisa kuch karne ka himmat nahi hota, wo apne he Vichardhara se bandhe hote hain, jab ap is vichardhara se alag ho kar kuch karte hain to unko lagta hai ap kuch bewakufi kar rahe hain, unme itna samajh nahi hota ki bewakufi wo khud kar rahe hain apne vichardhara se bandhe reh kar, apne man ko maar kar jhuti muskan lekar ghumte hain, aur jab kisi aise insaan se milte hain jo inke soch se alag hota hai, ye us insaan ka majak udate hain, uske bare main bhala bura kehte hain.
--:- kya ladkon ko baal lambe rakhne chahiye?
Ap agar gour se ish article ko padhenge to ap samjh payenge ke main yahan baat baal badhane ki nahi kar raha, baat samaj ki vichardhara se bandhe rehne ki ho rahi hai, ye to apko decide karna he ke ap apne andar ki awaz ko sunenge ya samaj ki.. Dhanyawad.
0 Comments