Read this post in english
1- vipaksh ke pas chehre ki kami
Narendra modi |
Jab vipaksh ki chehre ki baat ati he to ek he chehra dimag main ata he Rahul gandhi, mujhe hamesha lagta hai unhone ek he he galti ki he wo he career choice ki wo ek successful comedian ban sakte thy, janta ki baat alag he sayad unki khud ki party ke log v unhe seriously nahi lete, kuch aise chehre v hain jo acche ummidbar ban sakte hain jaise Shashi tharoor, Sachin pilot lekin rahul ji ke rehte ye ho nahi sakta aur man lo ban v gaye to v modi ji ke samne kahin nahi tikte.
2-“Na khaunga na khane dunga”
Upar ke line se ap samajh he gaye honge ki baat bhrastachar ki ho rahi he, aur bhrastachar se modi ji ka rishta kuch hero hero aur villain jaisi he, dono ek dusre ko pasand nahi karte(kehne ka matlab ap samajh he gaye honge) vipaksh ne kausis to bohat ki bhrastachari sabit karne main par kamyabi nahi mili aur aj ki janta ko imandari pasand he sahab..
3- HInduon ka modi ji par bharosha
Pm modi |
Bjp ko chhod kar ap kisi aise party ko jaante hain jo bahusankhyak (majority) ki baat karta ho? Main ye sawal is liye puch raha hun kyun ki maine har party ke netaon ko alpsankhyak (minority) ki baat karte suna he, unke haq ke liye dange fasad ko v support karte dekha he, aj wohi log kehte hain ki hindu hame vote nahi dete, bhai sahab Ram mandir ke liye bjp lade, Kashmir se 370 bjp hataye aur hindu vote apko de? Kahan ka logic he bhai?.
4- garibon ke liye modi aur desh ek he
Ek gajab ka badlab dekha hai maine aam logo main, modi ji se pehle sayad kuch logon ko ye v pata nahi raha hoga ke pradhan mantri ka matlab kya he aur aj ek bachaa v jaanta he modi Pradhan mantri he, isse pehle logon ko kuch matlab nahi tha ke desh main kya ho raha he, par aj log janna chahte hain ke desh main kya ho raha he, tv ke samne pura parivaar baith jaata hai jab modi ji tv pe ate hain, modi ji diya jalane ke liye bole to log Diwali mana lete hain, itna pravab sayad he aj se pehle kisi neta ka raha hoga.
People loves modi |
5- modi ji ka sapna desh ka sapna
Ye baat tabhi sabit ho gayi thi jab note bandi main taklif sehne ke baad v logon ne phir se vote bjp ko he diya tha, baat bhrastachar khatam karne ki thi, ab baat Smart cities ki ho rahi he, pakka makan ki ho rahi he, bullet train ki ho rahi he aur sabse badi baat 5 trillion dollar economy ki ho rahi he aur log biswas ke sath kehte hain ke modi he to mumkin he,
Pata he ye biswas kahan se aya? Jab log salon se toilet, electricity, gas jaise aam subidhaon ke liye tarash rahe ho aur koi insaan usko pura karde to biswas apne ap ban jati he.. Dhanyabad.
Share
0 Comments